WAQT KI AHMIYAT (IMPOTANCE OF TIME).

Waqt Ki Ahmiyat|Waqt Ki Qadar | Importance Of Time.


Waqt kya hai? What is Time?


Waqt kya hai? Waqt aik aisi qeemti cheez hai jo kisi ka intezaar nhi karti, wo apne hi raftaar me chalti jaati hai. Waqt aik bemisaal cheez hai, jabke dikhne me iski sui bohot hi mamuli si hoti hai , lekin phir bhi hum sab iske muhtaaj hote hain. Waqt ki qadar karna her insaan ke liye bohot zaruri hai. Kyunke jo insaan waqt ki ahmiyat ko samjhta hai aur waqt pe apne sare kaam karta hai, use taraqqi ki manzil aasani se hasil ho jati hai. Waqt ki qadar karne ka matlab ye hai ke hamein her kaam sahi waqt pe karna chahiye. Duniya ke her mulk me waqt ka khayal rakkha jata hai. Chahe wo koi Office ho ya school. Her jagah sahi time pe pohnchna chahiye. Wo mulk her haal me taraqtqi karta hai jahan ke rehne wale log apne time ki qadar karte hain or apna sara kaam time pe khatam karte hain.

 

Waqt ki Ahmiyat:

Hamein Zindagi me hamesha apne waqt ki qadar karni chahiye. Ye bohot hi zyada qeemti cheez hai, kyunke gya waqt kbhi wapas nahi aata. Jo log waqt ki qadar nahi karte wo hamesha ghate me rehte Hain aur waqt guzar jane ke baad afsos karte hain ke hum flan flan kaam time pe Kar lete to aaj aisi naubat nahi aati. Agar hum is baat pe ghaur karen to her guzri huii waqt aisi lagti hai ke kal hi ki baat hai. Jabke hamein is baat pe khush hona chahiye ke ghadi ka ejaad hua or hum ghadi dekh sakte hain or waqt ka andaaza lga sakte hain or iski madad se aasani se apne time ke mutabiq koii bhi kaam sahi waqt pe kar sakte hain. Waqt ki ahmiyat karni usko samjhna bohot zyada zaruri or fayda mand hai hum insanon ki zindagi me. Is lehaaz se hamare waqt ka her lamha her second hamare liye  Jo hamare guzarte hue saans ke sath guzar rha hai wo hamare liye bohot hi Anmol or Qeemti taufa hai. To hamein apne waqt ko ahmiyat dena bohot zyada zaruri hai.




Kisi shayar ne kya khoob likha hai..

Waqt keh rha hai behta darya waqt ka,
Qeemti hai lamha lamha waqt ka.
Jo hain himmat wale wo Manzil payenge,
Jo hain kahil wo piche reh jayenge.
Waqt ke sath jo chalte rehte hain,
Wo kaamyaab ho kar rehte hain.
Waqt ka panchi kahin rukta nahi,
Waqt ka parcham kahin jhukta nahi.
Maanta hai jo bhi kehna waqt ka,

Waqt bhi ban jata hai uska rehnuma.
Waqt deta hai hmko sabaq yahi,
Doston ghaflat me rehna mat kabhi.


Waqt ki Qadar aur uksa saboot:
Jaisa ke humlog dekhte chale arhe hain ke duniya me jetne bhi qudrati cheez hai wo bhi time ki qadar karta hai or usi ke mutabiq apna kaam karta hai. Iska saboot dekh lijye suraj apne time pe hi tulu ( nikalta) or apne time pe hi ghuroob ( doobta) hai, or jetne bhi tare aasmaan me tim timate hain wo bhi time se nikalte hain or time se doob jate hain. Jaise din roshni le kar aata hai or raat andhera le kar. Isi tarah puri duniya ka nizaam waqt ki qadar karte hue pabandi ke sath chal rha. To hamare liye Bohot zaruri hai waqt ki qadar karna or waqt pe apna sara kaam karna. Waqt zaya karne se hame hamesha preshaaniyon ka saamna karna padhta hai. Lehaza, hamein sahi waqt pe sahi kaam karna Chahiye iske bohot sare faide hain. Ye aik bohot accha zariya hai taraqqi ki taraf badhne ka or kaamyabi hasil karne ka. Isliye hum sabhi ko waqt ki pabandi karni chahiye isse faida uthana chahiye.



Moral: Hamein waqt ko barbad nhi karna chahiye aur apne sare kaam ko sahi waqt pe karna chahiye.

Tags: waqt ki ahmiyat, waqt ki qadar, waqt, Time.

Disclaimer: All the images used in this blog is only for representation purpose!

Thank you. 😊

Comments

  1. Isliye kehte hai 'time is valuable'.
    Thanks for ur time to make us understand the value of time. 😅

    ReplyDelete

Post a Comment