Zindagi ki Haqiqat


Zindagi kya hai? Zindagi ek Paheli hai jisko aaj tak koi bhi nahi samajh paya. Ya yun keh lijye ke Zindagi ka Doosra naam preshaani h jo kbhi khatam nhi hota . Kyunki Zindagi me ek preshaani khatam hoti hai to usi time char nayi preshaani aake khadi ho jati hai. Kabhi kabhi to aisa hota h ke hm log apni zindagi se khud hi preshaan ho jate hain or hamen samajh me hi nhi aata ke ab hm kya kren ? Lekin jaise her pehlu ke 2 sikke hote hain waise hi Zindagi ke bhi 2 pehlu hote hain. hmlog kabhi kabhi choti si baat se etne zyada khush hojate hain ke aisa lagne lagta hai ke isse pehle hamein koi preshani hi nahi thi. To phir hum sab kuch bhool kar aisa mehsoos karne lagte hain ke waqai me hamari Zindagi Gulzaar hai. Bohot hi asaan ilfaaz me hum ye keh sakte hain ke zindagi ka doosra naam seekh hai. Kyunke zindagi to hamein her haal me kuch na kuch sikha ke chali jati hai. Acche waqt me bhi logon ka pehchaan karwati hai or kharaab waqt me bhi ye sikha jati hai ke koun hamare apne hain or koun paraye. Lehaza, hamein zindagi ke her modh pe khud ko tayyar rakhna hoga her preshaniyon se saamna karne ke liye. Or her maamle me samajhdari ke sath faisla lena chahiye taake zindagi me hum apna sabit qadam rakh saken or Zindagi me hamesha khush reh saken. 😊😊❤️❤️
   Thank You,
your faithfully
(Lubna)

Comments

  1. Well said.
    Beautiful lines by my beautiful nd soft hearted frnd.
    Thanks for such a wonderful lines.....😊

    ReplyDelete
  2. Tabbassum
    Wow nice,waiting for another one

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
    2. Thank You@Tabassum😊. My next blog Will publish very soon.

      Delete
  3. Nice lines���� @Lubna

    ReplyDelete
  4. Kuch aur likhen, study material broad kren, life is combination of more..........

    ReplyDelete

Post a Comment