Doston Aaj ka mera theme hai Dil ki awaaz. Chaliye to baat karte hain dil ki awaaz kya hoti hai? To iska jawaab ye hai ke wo awaaz jo hamen hamara dil krne ko kehta Hai. ye wo awaazein hoti hai jo hamare liye bohot acchi sabit hoti hai sahi faisla lene me. Hum sab ye zarur jaante hain ke Dil kya hota hai? Lekin ye dil ki awaaz samjhna hamare liye bohot mushkil hota hai.Dil or dimagh in dono ka taal mel bohot accha hota hai. Kyunke ye hamari zindagi me bohot aham role ada karta hai. Hum log ye keh sakte hain ke dil or dimagh is a perfect combination . Bohot sare log kehte hain ke dil jo kahta hai insaan ko wahii krna chahiye kyunke dil kabhi ghalat faisla lene nhi deta hai. Lekin dimagh se liya gya faisla aksar ghalat sabit hota hai. To hamen ye samjhna hoga ke dil ki awaaz pehchane kaise? To Doston aapko ye pta hona chahiye ke Dil hamare body parts ka sabse zyada aham hissa hai. Jb hamein koii bhi preshani aati hai or us situation ko handle krte time bohot sari mushkil aati hai, hamein samjh me nhii ata ke hum ab kya kren? kaise karen? kyunke aise mauqe pe dil kuch or kehta hai dimagh kuch or kehta hai. Tb hamein ustime thoda sa khudko time dena Chahiye akele kisi shant jagah pe baith ke hamein sare situations ke bare me sochna chahiye or aisa karne se phir aapke ander se jo awaaz aati hai ke ye karna sahii h mujhe yahii krna chahiye Dil cheekh cheekh ke kehta hai yhii krna Chahiye yhii hamare problem ko sought out krega. Yahi awaaz jo hoti hai mere dost wo hamare mann ki awaaz ya yun keh lijye ke Dil ki awaaz hoti hai. Lehaza hamein is awaaz ko nazar andaaz nhi karna Chahiye or jaldi se isi awaaz ke mutabiq hamein kaam karna Chahiye. Isse aapko zarur sahii faisla lene me madad milegi. Darasal main bhi apni Zindagi me Dil ki awaaz sun ke hi koii bhi aisa kaam karti hoon jahan pe main thodi confused rehti hoon ke kya krun to ustime main apne aapko thodi shant jagah pe akele jaa ke pura scenario sochti hoon or phir jo bhii Dil kehta hai wahii karti hoon. Aisa karne se mujhe bohot madad milti hai right decision lene me. Dekhye mera kehna hai Zindagi me koii bhi kaam me jald baazi nhii krni Chahiye. kyunke jald bazi me kiya gaya faisla hamesha ghalat saabit hota hai. Isliye main aap logon se request karti hoon zindagi ke koi bhii modh pe koi bhi situation me pehle Dil or dimagh dono se sochye phir aapko jo strong feeling ayegi ke han ye kaam krenge to success milega. Matlab jisme aap puri tarah sure ho jayen tbhi koii bhii step len. Yahi sure walii jo feeling bahar nikalti hai or kuch accha karne ki chahat hoti hai or ye bhi pta hota hai ke han I can do this. Yahii awaaz jo hoti hai wo hamare Dil ki Sacchi awaaz hoti hai. Isko Kabhi bhi ignore nhi karna chahiye.
Moral: Kabhi bhi apne Dil ki awaaz ko ignore nahi karni Chahiye.❤️📈☺️😊
Tips: Meri taraf se aajka tip ye hai ke apne Dil ki hifazat kijye uska care kijye or usko healthy rakhne ki puri koshish kijye.
Kyunke Dil healthy to Life healthy❤️ 🥗😊😊.
Thank you so much and please take care of You.
You are right
ReplyDeleteThanks for your appreciation
Delete💯% true....
ReplyDeleteThank you!
Delete